Kya Saas Kabhi Maa Ban Sakti Hai Aur Bahu Beti-
Aaj main work from home par thi. Kaafi time baad maine mummy ko din mein sote hue dekha.
I’ve been on my laptop since morning, maybe since 8:30, and it’s 12:30 now. Itne time mein main sirf ek baar laptop se uthi, wo bhi khana khane ke liye.
Is beech mere ghar par kuch relatives bhi aaye the. 8:30 se 12:30 ke beech mummy ne hi almost sara kaam kiya—chai banana, ghar ka kaam, relatives ko dekhna… jo bhi kaam tha, mummy karti rahi.
Aur ab jaakar wo sone gayi hain.
Unhe dekhkar mere mind mein ek purani baat yaad aa gayi.
When I was in a relationship, my partner and I were having a debate about a topic. I told him/her—
“Saas ko maa banana bahut difficult hai, aur bahu ko beti banana bhi.”
Mere kehne ke peeche ek simple reason tha.
Jo nakhre hum apni maa ke saamne kar sakte hain, kya wahi nakhre hum apni saas ke saamne kar sakte hain?
Main ye bilkul nahi keh rahi ki har kisi ke saath same hota hai. Not at all.
Bahut saas-bahu ke relationships genuinely beautiful hote hain.
But I think maa aur saas ka relationship completely same hona difficult hai, kyunki jis person ke saath humara jo relationship hota hai, hum usse waise hi expectations rakhte hain.

Kya Saas Kabhi Maa Ban Sakti Hai Aur Bahu Beti
Kya Saas Kabhi Maa Ban Sakti Hai Aur Bahu Beti ( Ab Bete Ki Shaadi Karwa Do, Bahu Ghar Sambhal Legi )
Humari middle-class families mein ye line bahut common hai—
“Ab bete ki shaadi karwa do, bahu aa jayegi to ghar sambhal legi.”
“Ghar ka sara kaam kar legi.”
“Mummy-papa ki age bhi ho rahi hai, ab wo aaram karenge.”
Main ye nahi keh rahi ki ghar ka kaam karna koi buri baat hai.
Of course, wo humara bhi ghar hai, to humein bhi kaam karna chahiye.
But agar saas genuinely maa ban jaye aur bahu ko sirf bahu nahi, beti samajhne lage, then I think ye journey bahut beautiful ho sakti hai.
Problem ye hai ki aisa har ghar mein nahi hota.
Kya Saas Kabhi Maa Ban Sakti Hai Aur Bahu Beti ( Ek Bete Ke Liye Uski Maa Sabse Best Hoti Hai )
Ek ladke ke liye uski maa duniya ki sabse best maa hoti hai.
But zaroori nahi ki wahi maa apni bahu ko bhi same love de jo wo apne bete ko deti hai.
Aur iska ek simple reason bhi hai.
Maa-bete ka relationship saalon purana hota hai, but saas-bahu ka relationship ek naye person ke ghar mein aane ke baad start hota hai.
Mummy hamesha ek baat bolti hain—
“Beti ka haq hota hai mayke mein pyaar paana aur sasural mein pyaar dena.”
Maine ye cheez apni chachi aur bhabhi ke saath dekhi hai.
Dono apne ghar ki chhoti child rahi hain. Unhone apne mayke mein wo sab kuch paaya jo ek daughter ko milta hai—pyaar, care, attention, chhoti-chhoti zid poori hona.
Ghar ka kaam bhi unhone shayad itna nahi kiya tha.
But sasural mein aane ke baad Day 1 se unhone responsibilities sambhal li.
Sabse pehle uthna, sabke baad sona, ghar ke kaam mein help karna, sabki care karna…
But fir bhi maine ye dekha hai ki meri dadi unhe wo same pyaar nahi de paati jo humein grandchildren ke form mein mila ya meri bua ko mila.
Aur kabhi-kabhi shayad isi wajah se unhe feel hota hai—
“Main is ghar ki bahu hoon.”
Kya Saas Kabhi Maa Ban Sakti Hai Aur Bahu Beti ( Sirf Bahu Ko Hi Adjust Kyun Karna Hai? )
Mujhe lagta hai problem yahin se start hoti hai.
Ek husband ke mind mein hota hai—
“Meri wife meri maa ki seva kare.”
But at the same time, wo ye bhi chahta hai ki agar wife ko koi baat buri lag jaaye, to wo uske paas aakar har baar complain na kare.
And honestly, ye situation bahut confusing hai.
Aap ek ladki se keh rahe ho ki wo aapke ghar ko apna ghar samjhe, aapke parents ko apne parents samjhe, unki care kare…
But jab usse koi baat hurt kare, to usse ye bhi keh diya jata hai—
“Main ghar chala raha hoon, please har baat lekar mere paas mat aao.”
To phir wo ladki apni feelings lekar jaye kahan?

Kya Saas Kabhi Maa Ban Sakti Hai Aur Bahu Beti ( Bahu Se Beti Banane Ka Safar ❤️)
Mujhe lagta hai bahu se beti banne ka first step shayad ladki ko hi lena padta hai.
Usse bhi effort karna chahiye.
Usse bhi naye ghar ko samajhna chahiye.
Usse bhi apne sasural walon ko time dena chahiye.
But sirf ladki ke effort se ye relationship beautiful nahi ban sakta.
Saas ko bhi ek step lena padega.
Aur sabse important—husband ko bhi beech mein khade hokar dono sides ko samajhna padega.
Because agar husband sirf ye soche ki “meri maa sahi hai” ya “meri wife sahi hai”, to problem kabhi solve nahi hogi.
Usse ye samajhna hoga ki maa bhi hurt ho sakti hai aur wife bhi.
Dono relationships important hain, but dono relationships ki expectations different hoti hain.
Aur shayad isi liye mujhe lagta hai—
Bahu ko beti banne ke liye sirf ek naya ghar nahi, ek safe relationship bhi chahiye.
Jahan wo bina dare apni baat bol sake.
Jahan usse har time ye feel na ho ki wo “bahu” hai, isliye usse har cheez tolerate karni hai.
Aur shayad tabhi ek din wo genuinely bol paayegi—
“Ye meri saas nahi, meri maa jaisi hain.” ❤️
But us journey ka first step sirf bahu ko nahi, poore ghar ko milkar lena padega
Related Posts
- 2026 Taught Me Think Solutions Not Problems
- Sapne Sirf Dekhne Se Nahi, Unhe Pura Karne Ki Mehnat Bhi Karni Padti Hai
- The Most Beautiful Feeling in Life Is Loving Yourself
- What Is Love? How Do You Know When You’ve Fallen in Love
- There Are 3 Types of Men in Life — But Which One Hurts the Most
- Nainital Trip Part 2: Sometimes Life Doesn’t Go the Way We Plan
- My 2026 Bucket List Nainital Trip, New People & Beautiful New Memories
- Why Is It So Difficult to Move On from Someones Memories
#SaasBahu #SaasBahuRelationship #MotherInLaw #DaughterInLaw #IndianFamily #Marriage #FamilyRelationships #SaasAurBahu #BahuAurSaas #RelationshipThoughts #MarriageLife #IndianMarriage #FamilyExpectations #LifeThoughts #WebGyaan



Leave a Reply